INTERVIEW FOR CSE 2019
All ForumIAS members selected for CSE 2019 Personality Test must submit their details and DAF and register below to receive further instructions and guidance from ForumIAS. Click here to register now
INTERVIEW 2020 CHANNEL
ForumIAS Channel for Interview Preparation is now Active! Please join the channel by clicking here
We are hiring!

हिंदी साहित्य (अभ्याक्रम से इतर)

मित्रो, जिन्हें भी हिंदी साहित्य में रुचि है यहां चर्चा में शामिल हो जाए। साक्षात्कार के साथ साथ स्वांतः सुखाय भी।

Comments

  • आपका प्रिय कवि कौन है? क्यों?
  • आपका प्रिय कवि कौन है? क्यों?
    Dushyant Kumar

    kyo- to be honest-
    dushyant kumar pahle aise kavi hai jinki bate mere dil ke bahut karib lagti hain. Lagta hai jaise apni hi kahani hai.

    Halanki hindi sahitya se hamesha se lagav raha, isliye bhasha ke star par koi dikkat nahi thi. lekin fir bhi baki sare kaviyon ki bhasha ek aam vyakti ki bhasha nahi lagti (no offence to any poet), dushyant kumar ko padhkar aisa lagta hai jis bhasha ko mai padhta hu, samajhta hu, mahsoos karta hu us bhasha me koi kuchh likh raha hai aur mujhe sunana chahta hai.

    shayad isliye bhi unki rachnayen achhi lagti hai ki- unki rachanao me jo sufism, rumaniyat faila hua hai aur uske sath ghajal (jo khud hi itna aakarshit karne wala hai) ke rup me likhna- is daman se bach pana mushkil hai.

    mai koi alochak nahi hu ki- apne priya kavi ko bhasha, alankar, ras, bhav ityadi ke hisab se chunav karoo. badi sidhi si bat hai- mujhe dushyant kumar ki rachnaye sabse jyada mansik star par prabhavit karti hai, mai unhe bar bar padhna chahta hun, aur isliye dushyant kumar mere priya kavi hai- yahi sach hai.

    1. दुख नहीं कोई कि अब उपलब्धियों के नाम पर,
    और कुछ हो या न हो, आकाश-सी छाती तो है।

    2. मेरे सीने में नहीं तो तेरे सीने में सही,
    हो कहीं भी आग, लेकिन आग जलनी चाहिए।

    3. yah ajab khamosh dhadkan hai kisi tufan ki
    shunya me bhi jo nayi awaaz rachti hi gayi
    jis kadar likhta gaya uthte gaye anginat sawal
    lakh suljhata gaya guthhi ulajhti hi gayi




  • मित्रो, जिन्हें भी हिंदी साहित्य में रुचि है यहां चर्चा में शामिल हो जाए। साक्षात्कार के साथ साथ स्वांतः सुखाय भी।
    hi @Coelho_Juno bro
  • Hello evryone... Does anyone have Kumar Sarvesh's printed notes for Hindi Literature??? plzz reply
Sign In or Join to comment.

Welcome!

We are a secret self-moderated community for Civil Services preparation. Feel free to join, start a discussion, answer a question or just to say Thank you.

Just dont spread the word ;)

Sign in or join with Facebook or Google